ek laDki
man kī chhoTī sī duniyā meñ āshāoñ kā ek melā sā hai
us kī nas nas meñ ik aag sī karvaTeñ le rahī hai
ḳhayāloñ meñ sapne sunahre base haiñ
zarā koī us se par itnā to kah de
ki ai shoḳh laḌkī
tere bāloñ meñ gajre kī ḳhushbū baḌī mast mīThī sī hai
tere hoñToñ pe amrit kī dhāreñ haiñ
tū apnī āñkhoñ meñ kājal sajā.e hue kitnī sundar nazar aa rahī hai
vo sun ke lahrā.egī simTegī
aur phir havāoñ ke sargam pe matvāre naġhme sunā.egī
jaise koī us ke dil ke kināroñ ko
chupke se chhūne lagā hai
man ki chhoTi si duniya mein aashaon ka ek mela sa hai
us ki nas nas mein ek aag si karwaTen le rahi hai
KHayalon mein sapne sunahre base hain
zara koi us se par itna to kah de
ki ai shoKH laDki
tere baalon mein gajre ki KHushbu baDi mast miThi si hai
tere honTon pe amrit ki dhaaren hain
tu apni aankhon mein kajal sajae hue kitni sundar nazar aa rahi hai
wo sun ke lahraegi simTegi
aur phir hawaon ke sargam pe matware naghme sunaegi
jaise koi us ke dil ke kinaron ko
chupke se chhune laga hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.