ek laDki
zarā us ḳhud apne hī
jazboñ se majbūr laḌkī ko dekho
jo ik shāḳh-e-gul kī tarah
an-ginat chāhatoñ ke jhakoloñ kī zad meñ
uḌī jā rahī hai
ye laḌkī
jo apne hī phuul aaise kapḌoñ se sharmātī
āñchal sameTe nigāheñ jhukā.e chalī jā rahī hai
jab apne hasīñ ghar kī dahlīz par jā rukegī
to mukh moḌ kar muskurā.egī jaise
abhī us ne ik ghaat meñ baiThe
dil ko pasand aane vaale
shikārī ko dhokā diyā hai
zara us KHud apne hi
jazbon se majbur laDki ko dekho
jo ek shaKH-e-gul ki tarah
an-ginat chahaton ke jhakolon ki zad mein
uDi ja rahi hai
ye laDki
jo apne hi phul aaise kapDon se sharmati
aanchal sameTe nigahen jhukae chali ja rahi hai
jab apne hasin ghar ki dahliz par ja rukegi
to mukh moD kar muskuraegi jaise
abhi us ne ek ghat mein baiThe
dil ko pasand aane wale
shikari ko dhoka diya hai
- Book : kulliyat-e-muniir niyaazii (Pg. 61)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.