ek laDki
kaisā saḳht tūfāñ thā
kitnī tez bārish thī
aur maiñ aise mausam meñ
jaane kyuuñ bhaTaktī thī
vo saḌak ke us jānib
raushnī ke khambe se!
sar lagā.e istāda
aane vaale gāhak ke
intizār meñ gum thii!
ḳhāl-o-ḳhad kī ārā.ish
bah rahī thī bārish meñ
tiir nok-e-mizhgāñ ke
mil ga.e the miTTī meñ
gesuoñ kī ḳhush-rañgī
uḌ rahī thī jhoñkoñ meñ
maiñ ne dil meñ ye sochā
aab o baad kā relā!
us ko raakh kar degā
ye sajā banā chehra!
kyā Darāvnā hogā
phir bhī us ko le jaanā
aane vaale gāhak kā
apnā hausla hogā
bārishoñ ne jab us kā
rañg-o-rūp dho Daalā
maiñ ne Darte Darte phir
us ko ġhaur se dekhā
sīdhā-sāda chehra thā
bholā-bhālā naqsha thā
rañg-e-kam-sinī jis par
kaise dhul ke aayā thā
zard phuul sā pattā
gesuoñ meñ uljhā thā
shabnamī sā ik qatra
aañkh par laraztā thā
raakh kī jagah us jā
ik diyā sā jultā thā
mujh ko yuuñ lagā aise!
jaise merī beTī ho
merī naaz kī paalī
merī kokh-jā.ī ho
Daal se bañdhā jhūlā
taaq meñ sajī guḌiyāñ
ghar meñ chhoḌ aa.ī ho
tez tez chalne par
maiñ ne us ko Tokā ho
haath thaam lene par!
merā us kā jhagḌā ho
kho ga.ī ho mele meñ
bah ga.ī ho rele meñ
aur phir añdhere meñ
apne ghar kā darvāza
ḳhud na dekh paa.ī ho!
daf.atan ye dil chāhā
us ko god meñ bhar luuñ
le ke bhaag jā.ūñ maiñ
haath joḌ luuñ us ke
chuum luuñ ye peshānī!
aur use manā.ūñ maiñ
phir se apne āñchal kā
ghoñsla banā.ūñ maiñ
aur use chhupā.ūñ maiñ
kaisa saKHt tufan tha
kitni tez barish thi
aur main aise mausam mein
jaane kyun bhaTakti thi
wo saDak ke us jaanib
raushni ke khambe se!
sar lagae istada
aane wale gahak ke
intizar mein gum thi!
KHal-o-KHad ki aaraish
bah rahi thi barish mein
tir nok-e-mizhgan ke
mil gae the miTTi mein
gesuon ki KHush-rangi
uD rahi thi jhonkon mein
main ne dil mein ye socha
aab o baad ka rela!
us ko rakh kar dega
ye saja bana chehra!
kya Darawna hoga
phir bhi us ko le jaana
aane wale gahak ka
apna hausla hoga
barishon ne jab us ka
rang-o-rup dho Dala
main ne Darte Darte phir
us ko ghaur se dekha
sidha-sada chehra tha
bhola-bhaala naqsha tha
rang-e-kam-sini jis par
kaise dhul ke aaya tha
zard phul sa patta
gesuon mein uljha tha
shabnami sa ek qatra
aankh par larazta tha
rakh ki jagah us ja
ek diya sa julta tha
mujh ko yun laga aise!
jaise meri beTi ho
meri naz ki pali
meri kokh-jai ho
Dal se bandha jhula
taq mein saji guDiyan
ghar mein chhoD aai ho
tez tez chalne par
main ne us ko Toka ho
hath tham lene par!
mera us ka jhagDa ho
kho gai ho mele mein
bah gai ho rele mein
aur phir andhere mein
apne ghar ka darwaza
KHud na dekh pai ho!
dafatan ye dil chaha
us ko god mein bhar lun
le ke bhag jaun main
hath joD lun us ke
chum lun ye peshani!
aur use manaun main
phir se apne aanchal ka
ghonsla banaun main
aur use chhupaun main
- Book : sham ka pahla tara (Pg. 100)
- Author : Zehra Nigah
- Edition : 1980
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.