ek lamha!
zindagī naam hai kuchh lamhoñ kā
aur un meñ bhī vahī ik lamha
jis meñ do boltī āñkheñ
chaa.e kī pyālī se jab uTThīñ
to dil meñ Dūbīñ
Duub ke dil meñ kahīñ
aaj tum kuchh na kaho
aaj maiñ kuchh na kahūñ
bas yūñhī baiThe raho
haath meñ haath liye
ġham kī sauġhāt liye
garmi-e-jazbāt liye
kaun jaane ki usī lamhe meñ
duur parbat pe kahīñ
barf pighalne hī lage
zindagi nam hai kuchh lamhon ka
aur un mein bhi wahi ek lamha
jis mein do bolti aankhen
chae ki pyali se jab uTThin
to dil mein Dubin
Dub ke dil mein kahin
aaj tum kuchh na kaho
aaj main kuchh na kahun
bas yunhi baiThe raho
hath mein hath liye
gham ki saughat liye
garmi-e-jazbaat liye
kaun jaane ki usi lamhe mein
dur parbat pe kahin
barf pighalne hi lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.