ek lamha
lamha
dil ke bahut paas se
guzrā huā sirf ek lamha
bahā le gayā hai
jaane kitne ḳhvāboñ ḳhvāhishoñ aur mansūboñ ko
bachā hai
haDDiyoñ tak dhañsā huā sannāTā
ruktī huī sāñseñ
Dūbtī huī nabz
aur sard huā jism
phir koī tez havā kā jhoñkā
Dher saarī gaD-maD āvāzeñ
chīḳh hañsī aur muskurāhaT
ghar daftar biivī bachche
aur ā.inda biis barsoñ kā mansūba
bhāgtī huī aaḌī tirchhī tasvīreñ
ek ke baad dūsre be-rabt manāzir
aur phir
Thahar gayā hai guzre hue lamhe kā saaya
Darā-Darā sahmā-sahmā dil
aur thar-thar kāñptā huā jism
lamha
dil ke bahut pas se
guzra hua sirf ek lamha
baha le gaya hai
jaane kitne KHwabon KHwahishon aur mansubon ko
bacha hai
haDDiyon tak dhansa hua sannaTa
rukti hui sansen
Dubti hui nabz
aur sard hua jism
phir koi tez hawa ka jhonka
Dher sari gaD-maD aawazen
chiKH hansi aur muskurahaT
ghar daftar biwi bachche
aur aainda bis barson ka mansuba
bhagti hui aaDi tirchhi taswiren
ek ke baad dusre be-rabt manazir
aur phir
Thahar gaya hai guzre hue lamhe ka saya
Dara-Dara sahma-sahma dil
aur thar-thar kanpta hua jism
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.