ek lamhe ka KHauf
shab-o-roz ke mashġhaloñ se pare
koī aisā bhī lamha hai
jis ke tasavvur meñ
kitne shab-o-roz
bechain guzre
dhaḌaktī huī nabz Duubī
ātī-jātī huī saañs
rāhoñ meñ rukne lagī
añdheroñ ke tūfān meñ
ek kashtī bhī
sāhil se ojhal huī
koī jagmagātā sitāra
falak kī bulandī se gir kar
kahīñ kho gayā
sard saarā badan ho gayā
aur phir
jaise tārīk goshe meñ
koī kiran muskurā.ī
koī aarzū hañs paḌī
garmī-e-hasrat-e-dil bhī
ThiThure hue jism meñ
tāzgī bhar ga.ī
chal paḌī
phir shab-o-roz ke mashġhaloñ se ladī
zang-ālūd gaaḌī
shab-o-roz ke mashghalon se pare
koi aisa bhi lamha hai
jis ke tasawwur mein
kitne shab-o-roz
bechain guzre
dhaDakti hui nabz Dubi
aati-jati hui sans
rahon mein rukne lagi
andheron ke tufan mein
ek kashti bhi
sahil se ojhal hui
koi jagmagata sitara
falak ki bulandi se gir kar
kahin kho gaya
sard sara badan ho gaya
aur phir
jaise tarik goshe mein
koi kiran muskurai
koi aarzu hans paDi
garmi-e-hasrat-e-dil bhi
ThiThure hue jism mein
tazgi bhar gai
chal paDi
phir shab-o-roz ke mashghalon se ladi
zang-alud gaDi
- Book : Kahein Kuch Nahein Hota (Pg. 49)
- Author : Shahid Mahuli
- Publication : Miaar Publications (2003)
- Edition : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.