ek lamhe ki dastan
chamak
merā tasavvur
ḳhushiyoñ kā jhoñkā
lams-e-ruḳh-e-gul
rāhat-e-shab-e-mahtāb
farhat-e-sub.h-e-bahār
naġhmagī
bhuuk
dard kī kasak
ġham-e-bechārgī azm-e-javāñ
sūrat-hā-e-yārān-e-be-yār
ehsās-e-silsila-hā-e-makr-o-fareb
naqsh-hā-e-kashmakash-e-marg-o-zīst
karb-e-ḳhāk-e-hiroshima
idrāk-e-rag meñ ye chubhte hue lākhoñ nashtar
shiddat-e-dard
tū
maiñ
har koī jo nigah-o-dil meñ aa.e
roTī
atom-bomb
tū
maiñ
dhuñdalkā
lamhe kī maut
ek aur lamhe kī jalvagarī
umr yuuñ hī tamām hotī hai
chamak
mera tasawwur
KHushiyon ka jhonka
lams-e-ruKH-e-gul
rahat-e-shab-e-mahtab
farhat-e-subh-e-bahaar
naghmagi
bhuk
dard ki kasak
gham-e-bechaargi azm-e-jawan
surat-ha-e-yaran-e-be-yar
ehsas-e-silsila-ha-e-makr-o-fareb
naqsh-ha-e-kashmakash-e-marg-o-zist
karb-e-KHak-e-hiroshima
idrak-e-rag mein ye chubhte hue lakhon nashtar
shiddat-e-dard
tu
main
har koi jo nigah-o-dil mein aae
roTi
atom-bomb
tu
main
dhundalka
lamhe ki maut
ek aur lamhe ki jalwagari
umr yun hi tamam hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.