ek mahki hui ghazal ho tum
ek mahkī huī ġhazal ho tum
dil meñ khiltā huā kañval ho tum
sharm ke bojh se jhukī palkeñ
pyaar kā husn kā 'amal ho tum
zindagī kī hazār ḳhushiyāñ de
aisā lamha ho aisā pal ho tum
kal jo biitī vo kal thī tum merī
aaj aur aane vaalī kal ho tum
laakh socheñ haiñ jis meñ poshīda
merī peshānī pe vo bal ho tum
baa'd mushkil ke maiñ ye samjhā huuñ
saarī mushkil kā ek hal ho tum
ek mahki hui ghazal ho tum
dil mein khilta hua kanwal ho tum
sharm ke bojh se jhuki palken
pyar ka husn ka 'amal ho tum
zindagi ki hazar KHushiyan de
aisa lamha ho aisa pal ho tum
kal jo biti wo kal thi tum meri
aaj aur aane wali kal ho tum
lakh sochen hain jis mein poshida
meri peshani pe wo bal ho tum
ba'd mushkil ke main ye samjha hun
sari mushkil ka ek hal ho tum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.