ek mansube mein dar-pesh dushwariyan
maiñ raushnī meñ itnī ġhalatiyāñ kartā huuñ
jitnī log añdhere meñ nahīñ karte hoñge
maiñ in dinoñ ek mansūba tayyār karne meñ masrūf huuñ
har tarah kī nākāmiyoñ se paak mansūba
taaki jaise hī mauqa.a mile
meñ ḳhud ko qatl kar duuñ
mujhe aise chaurāhe kā bhī intiḳhāb karnā hai
jis ke ain-vast meñ
laash ko is tarah laTkānā mumkin ho
ki us kā nazzāra kiyā jā sake chāroñ aur se
sañgsārī ke hāmiyoñ ko ḳhusūsī dāvat dī jā.egī
ḳhaas taur par qarībī dostoñ ko
tum bhī patthar hī barsānā
merī laash bardāsht nahīñ kar sakegī
phuul kī zarb
lekin maiñ kyā karūñ
maiñ raushnī meñ bhī itnī ġhalatiyāñ kartā huuñ
jitnī log añdhere meñ nahīñ karte hoñge
main raushni mein itni ghalatiyan karta hun
jitni log andhere mein nahin karte honge
main in dinon ek mansuba tayyar karne mein masruf hun
har tarah ki nakaamiyon se pak mansuba
taki jaise hi mauqa mile
mein KHud ko qatl kar dun
mujhe aise chaurahe ka bhi intiKHab karna hai
jis ke ain-wast mein
lash ko is tarah laTkana mumkin ho
ki us ka nazzara kiya ja sake chaaron aur se
sangsari ke hamiyon ko KHususi dawat di jaegi
KHas taur par qaribi doston ko
tum bhi patthar hi barsana
meri lash bardasht nahin kar sakegi
phul ki zarb
lekin main kya karun
main raushni mein bhi itni ghalatiyan karta hun
jitni log andhere mein nahin karte honge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.