Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek manzar

Athar Adeeb

ek manzar

Athar Adeeb

MORE BYAthar Adeeb

    surḳh gulāb

    chamakte hiire

    jagmag karte motī

    shahd meñ Duube adhūre jumle

    manzar phūloñ par mañDlātī be-kal titlī

    ruuī jaisī narm mulā.em miTTī meñ roTī ke TukḌe

    chhat par baiThe kavve chiḌiyāñ

    muTThī khule roTī ke TukḌe farsh par bikhreñ

    kavvā chiḌiyāñ shor machāte lapkīñ

    jhapTeñ

    motī apnā ruup dikhā.īñ

    hiire aur chamakte jaa.eñ

    surKH gulab

    chamakte hire

    jagmag karte moti

    shahd mein Dube adhure jumle

    manzar phulon par manDlati be-kal titli

    rui jaisi narm mulaem miTTi mein roTi ke TukDe

    chhat par baiThe kawwe chiDiyan

    muTThi khule roTi ke TukDe farsh par bikhren

    kawwa chiDiyan shor machate lapkin

    jhapTen

    moti apna rup dikhain

    hire aur chamakte jaen

    Source :
    • Book : Pakistani Adab (Pg. 93)
    • Author : Dr. Rashid Amjad
    • Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
    • Edition : 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now