ek manzar
kachchā sā ik makāñ kahīñ ābādiyoñ se duur
chhoTā sā ek hujra farāz-e-makān par
sabze se jhāñktī huī khaprel vaalī chhat
dīvār-e-chob par koī mausam kī sabz bel
utrī huī pahāḌ pe barsāt kī vo raat
kamre meñ lālTain kī halkī sī raushnī
vaadī meñ ghūmtā huā bārish kā jal-tarañg
sāñsoñ meñ gūñjtā huā ik an-kahī kā bhed!
kachcha sa ek makan kahin aabaadiyon se dur
chhoTa sa ek hujra faraaz-e-makan par
sabze se jhankti hui khaprel wali chhat
diwar-e-chob par koi mausam ki sabz bel
utri hui pahaD pe barsat ki wo raat
kamre mein lalTain ki halki si raushni
wadi mein ghumta hua barish ka jal-tarang
sanson mein gunjta hua ek an-kahi ka bhed!
- Book : kulliyaat-e-maahe tamaam(inkaar) (Pg. 103)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.