ek manzar
baañs ke jhunD meñ
chāñdnī jab dabe paañv dāḳhil huī
pattiyoñ ke lihāfoñ meñ dubkī huī so rahī thī havā
jaag uThī
ik zarā haT ke tālāb kī god meñ
ghus ke soī huī nannhī lahroñ ne āñkheñ malīñ
kulbulāne lagīñ
aur kuhan-sāl Tīloñ pe baiThe hue
kuchh kuhan-sāl peḌoñ kī parchhā.iyāñ
sar hilāne lagīñ
duur añdhere ke tālāb meñ
Dupkī maare hue gaañv ne
sar nikālā aur ik saañs lī
bans ke jhunD mein
chandni jab dabe panw daKHil hui
pattiyon ke lihafon mein dubki hui so rahi thi hawa
jag uThi
ek zara haT ke talab ki god mein
ghus ke soi hui nannhi lahron ne aankhen malin
kulbulane lagin
aur kuhan-sal Tilon pe baiThe hue
kuchh kuhan-sal peDon ki parchhaiyan
sar hilane lagin
dur andhere ke talab mein
Dupki mare hue ganw ne
sar nikala aur ek sans li
- Book : Nai Nazm ka safar (Pg. 186)
- Author : Khalilur Rahman Azmi
- Publication : NCPUL, New Delhi (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.