ek manzar
ufuq ke darīche se kirnoñ ne jhāñkā
fazā tan ga.ī rāste muskurā.e
simaTne lagī narm kohre kī chādar
javāñ shāḳh-sāroñ ne ghuñghaT uThā.e
parindoñ kī āvāz se khet chauñke
pur-asrār lai meñ rahaT gungunā.e
hasīñ shabnam ālūd pagDanDiyoñ se
lipaTne lage sabz peḌoñ ke saa.e
vo duur ek Tiile pe āñchal sā jhalkā
tasavvur meñ lākhoñ diye jhilmilā.e
ufuq ke dariche se kirnon ne jhanka
faza tan gai raste muskurae
simaTne lagi narm kohre ki chadar
jawan shaKH-saron ne ghunghaT uThae
parindon ki aawaz se khet chaunke
pur-asrar lai mein rahaT gungunae
hasin shabnam aalud pagDanDiyon se
lipaTne lage sabz peDon ke sae
wo dur ek Tile pe aanchal sa jhalka
tasawwur mein lakhon diye jhilmilae
- Book : Kulliyat-e-Sahir Ludhianvi (Pg. 20)
- Author : SAHIR LUDHIANVI
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.