ek manzum KHat
ḳhud-kushī kar rahe ho
karo
note bhī likh ke jāoge
vo bhī likho
haañ magar ik baḌā mas.ala hai
ki jaldī meñ likkhe hue note meñ
tum jo bachpan se ab tak bhugat aa.e ho
sab nahīñ aa.egā
note meñ
master kī chhaḌī
dostoñ kī daġhā-bāziyāñ
ghar ke jhagḌoñ se zaḳhmī huī nafsiyāt
aur umīdoñ kī lāsheñ nahīñ ā.eñgī
note meñ vo badan bhī nahīñ ā.eñge
jin kī ḳhvāhish meñ tum roz marte rahe
note meñ fitrī jazbe nahīñ ā.eñge
jo kisī zābte yā 'aqīde yā maz.hab ke
Dar ke tale dab ga.e
note meñ ek hī rang-o-maz.hab ke logoñ meñ jo
zar kī miqdār kā farq hai vo nahīñ aa.egā
note meñ tum koī ik sabab ḳhud-kushī kā likhoge
jo shāyad sabab hī na ho
tum kisī shaḳhs mahbūb yā dost ko
āḳhirī call paiġhām yā ḳhat meñ batlāoge
tum ko us ke ravayye ne toḌā hai
aur vo ravayya bhī shāyad irādī na ho
phir koī to tarīqa nikāloge
jis se zamāne ko ye baat samjhā sako
ḳhud-kushī qatl hai
ḳhud-kushī qatl hai
ye mujhe to patā hai
magar yār-e-man
postmortem meñ aisā nahīñ aa.egā
to phir aisā karo
note hī na likho
call bhī na karo
balki aisā karo
ḳhud-kushī mat karo
jo masā.il tumheñ is nahaj par le aa.e haiñ
vo sab ke sab
aur bhī kitne logoñ ko darpesh haiñ
un se bhī pūchh lo
mujh ko lagtā hai sab mil ke socheñ
to saare masā.il kā hal bhī nikal aa.egā
ḳhud-kushī buzdilī to nahīñ hai magar
aur bhī kitne raste laḌā.ī ke haiñ
KHud-kushi kar rahe ho
karo
note bhi likh ke jaoge
wo bhi likho
han magar ek baDa masala hai
ki jaldi mein likkhe hue note mein
tum jo bachpan se ab tak bhugat aae ho
sab nahin aaega
note mein
master ki chhaDi
doston ki dagha-baziyan
ghar ke jhagDon se zaKHmi hui nafsiyat
aur umidon ki lashen nahin aaengi
note mein wo badan bhi nahin aaenge
jin ki KHwahish mein tum roz marte rahe
note mein fitri jazbe nahin aaenge
jo kisi zabte ya 'aqide ya mazhab ke
Dar ke tale dab gae
note mein ek hi rang-o-mazhab ke logon mein jo
zar ki miqdar ka farq hai wo nahin aaega
note mein tum koi ek sabab KHud-kushi ka likhoge
jo shayad sabab hi na ho
tum kisi shaKHs mahbub ya dost ko
aaKHiri call paigham ya KHat mein batlaoge
tum ko us ke rawayye ne toDa hai
aur wo rawayya bhi shayad iradi na ho
phir koi to tariqa nikaloge
jis se zamane ko ye baat samjha sako
KHud-kushi qatl hai
KHud-kushi qatl hai
ye mujhe to pata hai
magar yar-e-man
postmortem mein aisa nahin aaega
to phir aisa karo
note hi na likho
call bhi na karo
balki aisa karo
KHud-kushi mat karo
jo masail tumhein is nahaj par le aae hain
wo sab ke sab
aur bhi kitne logon ko darpesh hain
un se bhi puchh lo
mujh ko lagta hai sab mil ke sochen
to sare masail ka hal bhi nikal aaega
KHud-kushi buzdili to nahin hai magar
aur bhi kitne raste laDai ke hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.