ek mohabbat
Interesting Fact
Dedicated to 'Ashfaque Ahmad'
jīvan ik be-ant safar hai
duniyā ek parāyā ghar hai
us ghar ke kone khudroñ meñ
ham ne apne ḳhvāb jamā.e
bādal bo.e dariyā paa.e
dukh jhele aur sukh phailā.e
dhartī se ākāsh ko joḌā
ik mohabbat dil meñ rakkhī
saarī umr udāsī chakkhī
jiwan ek be-ant safar hai
duniya ek paraya ghar hai
us ghar ke kone khudron mein
hum ne apne KHwab jamae
baadal boe dariya pae
dukh jhele aur sukh phailae
dharti se aakash ko joDa
ek mohabbat dil mein rakkhi
sari umr udasi chakkhi
- Book : saarii nazmen (Pg. 777)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.