ek mujarrab nusKHa
aap ko merā mamnūn-e-ehsān honā chāhiye
ki meñ aap ke liye ek aisā mujarrab nusḳha tajvīz kar rahā huuñ
jo aap kī zindagī meñ ek ḳhush-gavār inqalāb barpā kar saktā hai
ain-mumkin hai mere tajvīz-karda nusḳhe ko
tabā.atī aur barqī zarā-e-iblāġh ke idāre
apne ḳhilāf ek kārobārī sāzisheñ samjheñ
aur mujh par harjāne kā da.avā kareñ
māherīn-e-iblāġh-e-āmmā, sahāfī, dānish-var, civil-societiyoñ ke numā.inde
aur avāmunnās mujhe ahmaq qarār deñ
ye saare muvaqqe radd-e-amal
mujhe apnā tajvīz-karda nusḳha pesh karne se baaz nahīñ rakh sakte
mere tajvīz-karda nusḳhe ke mutābiq
apnī zindagī ko pur-sukūn aur ḳhush-gavār banāne ke liye aap ko
aḳhbārāt o rasā.el, maqbūl-e-avām T.V-channels aur hālāt-e-hāzira par programme pesh karne vaale
bil-ḳhusūs sansanī-ḳhez breaking-news aur siyāsī talk-shows ke zari.e
haqā.eq ko jānñe kā haq tark karnā hogā
tiin maah ke ibtidā.ī parhez se hī
aap ko mera mamnun-e-ehsan hona chahiye
ki mein aap ke liye ek aisa mujarrab nusKHa tajwiz kar raha hun
jo aap ki zindagi mein ek KHush-gawar inqalab barpa kar sakta hai
ain-mumkin hai mere tajwiz-karda nusKHe ko
tabaati aur barqi zara-e-iblagh ke idare
apne KHilaf ek karobari sazishen samjhen
aur mujh par harjaane ka dawa karen
maherin-e-iblagh-e-amma, sahafi, danish-war, ciwil-societiyon ke numainde
aur awamunnas mujhe ahmaq qarar den
ye sare muwaqqe radd-e-amal
mujhe apna tajwiz-karda nusKHa pesh karne se baz nahin rakh sakte
mere tajwiz-karda nusKHe ke mutabiq
apni zindagi ko pur-sukun aur KHush-gawar banane ke liye aap ko
aKHbaraat o rasael, maqbul-e-awam TV-channels aur haalat-e-hazira par programme pesh karne wale
bil-KHusus sansani-KHez breaking-news aur siyasi talk-shows ke zarie
haqaeq ko jaanne ka haq tark karna hoga
tin mah ke ibtidai parhez se hi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.