Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek muKHtalif kahani

Iftikhar Naseem

ek muKHtalif kahani

Iftikhar Naseem

MORE BYIftikhar Naseem

    juulī kitnī bholī thī

    jab us ne iz.hār kiyā thā

    apne andar ḳhvāhish

    is chhoTe se shahr ke

    saare logoñ ne us par thūkā thā

    charch ke father ne

    us ko

    injīl-e-muqaddas ke varqoñ se paḌh ke sunāyā

    aurat nasl-e-insānī ḳhātir duniyā meñ aa.ī hai

    us ke andar ḳhvāhish to ek gunah hai

    ye to kaafī saal purānā qissa hai

    ab juulī to bahut baḌe ik shahr ke andar

    ālī-shān makān meñ rahtī hai

    kabhī-kabhār use jab

    is chhoTe qasbe yaad satātī hai to

    kisī bhī qabristān meñ kar

    an-jānī qabroñ pe

    phuul chaḌhā kar

    ghar ko vāpas aa jaatī hai

    juli kitni bholi thi

    jab us ne izhaar kiya tha

    apne andar ki KHwahish ka

    is chhoTe se shahr ke

    sare logon ne us par thuka tha

    charch ke father ne

    us ko

    injil-e-muqaddas ke warqon se paDh ke sunaya

    aurat nasl-e-insani ki KHatir duniya mein aai hai

    us ke andar ki KHwahish to ek gunah hai

    ye to kafi sal purana qissa hai

    ab juli to bahut baDe ek shahr ke andar

    aali-shan makan mein rahti hai

    kabhi-kabhaar use jab

    is chhoTe qasbe ki yaad satati hai to

    kisi bhi qabristan mein ja kar

    an-jaani qabron pe

    phul chaDha kar

    ghar ko wapas aa jati hai

    Source :
    • Book : Pakistani Adab (Pg. 98)
    • Author : Dr. Rashid Amjad
    • Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
    • Edition : 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now