ek mulaqat
tirī taḌap se na taḌpā thā merā dil lekin
tire sukūn se bechain ho gayā huuñ maiñ
ye jaan kar tujhe kyā jaane kitnā ġham pahuñche
ki aaj tere ḳhayāloñ meñ kho gayā huuñ maiñ
kisī kī ho ke tū is tarah mere ghar aa.ī
ki jaise phir kabhī aa.e to ghar mile na mile
nazar uThā.ī magar aisī be-yaqīnī se
ki jis tarah koī pesh-e-nazar mile na mile
tū muskurā.ī magar muskurā ke ruk sī ga.ī
ki muskurāne se ġham kī ḳhabar mile na mile
rukī to aaise ki jaise tirī riyāzat ko
ab is samar se ziyāda samar mile na mile
ga.ī to sog meñ Duube qadam ye kah ke ga.e
safar hai shart sharīk-e-safar mile na mile
tirī taḌap se na taḌpā thā merā dil lekin
tire sukūn se bechain ho gayā huuñ maiñ
ye jaan kar tujhe kiyā jaane kitnā ġham pahuñche
ki aaj tere ḳhayāloñ meñ kho gayā huuñ maiñ
teri taDap se na taDpa tha mera dil lekin
tere sukun se bechain ho gaya hun main
ye jaan kar tujhe kya jaane kitna gham pahunche
ki aaj tere KHayalon mein kho gaya hun main
kisi ki ho ke tu is tarah mere ghar aai
ki jaise phir kabhi aae to ghar mile na mile
nazar uThai magar aisi be-yaqini se
ki jis tarah koi pesh-e-nazar mile na mile
tu muskurai magar muskura ke ruk si gai
ki muskurane se gham ki KHabar mile na mile
ruki to aaise ki jaise teri riyazat ko
ab is samar se ziyaada samar mile na mile
gai to sog mein Dube qadam ye kah ke gae
safar hai shart sharik-e-safar mile na mile
teri taDap se na taDpa tha mera dil lekin
tere sukun se bechain ho gaya hun main
ye jaan kar tujhe kiya jaane kitna gham pahunche
ki aaj tere KHayalon mein kho gaya hun main
- Book : Kulliyat-e-Sahir (Pg. 198)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.