ek munjamid lamha
mire bātin meñ
sad-hā rañg ke mausam
ka.ī manzar, ruteñ, tūfān,
pal pal pal rahe haiñ
aur apnī maut marte jā rahe haiñ
kabhī aisā bhī hotā hai
ki ik mausam, koī manzar, koī rut yā koī tūfāñ
tasalsul kī kaḌī se TuuT kar
ik lamha ruktā hai
zarā sā munjamid hotā hai
aur ik nazm hotī hai
mere baatin mein
sad-ha rang ke mausam
kai manzar, ruten, tufan,
pal pal pal rahe hain
aur apni maut marte ja rahe hain
kabhi aisa bhi hota hai
ki ek mausam, koi manzar, koi rut ya koi tufan
tasalsul ki kaDi se TuT kar
ek lamha rukta hai
zara sa munjamid hota hai
aur ek nazm hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.