ek musafir se
thakā sūraj
ujaḌtī shab ke pahlū meñ
panāheñ DhūñDhtā hai
ḳhema-e-jāñ meñ
safar lamha tanābeñ kholtā hai
judā.ī rāsta roke khaḌī hai
udāsī sāhiloñ par
ret kī sūrat bichhī hai
safar āġhāz hone meñ
abhī kuchh vaqt baaqī hai
abhī mat bādbāñ kholo
zarā ārām kar lo
thaka suraj
ujaDti shab ke pahlu mein
panahen DhunDhta hai
KHema-e-jaan mein
safar lamha tanaben kholta hai
judai rasta roke khaDi hai
udasi sahilon par
ret ki surat bichhi hai
safar aaghaz hone mein
abhi kuchh waqt baqi hai
abhi mat baadban kholo
zara aaram kar lo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.