ek mushahida
udhar
us paar pul ke
ḳhūbsūrat aur dil-āvez
manzar kā fusūñ
āġhosh meñ jis kī sukūñ
maiñ jast bhar kar
dauḌ kar
us lambe pul ko paar kartā
der tak rangīniyoñ meñ khoyā rahtā thā
magar us paar
ab jaatā nahīñ maiñ
thak ke baiTh jaatā huuñ
vo manzar
us taraf ḳhāmosh
maiñ is paar chup chup sā
fazā sākit
magar kuchh TūTte rahne kī aahaT bhī
udhar
us par pul ke
KHubsurat aur dil-awez
manzar ka fusun
aaghosh mein jis ki sukun
main jast bhar kar
dauD kar
us lambe pul ko par karta
der tak ranginiyon mein khoya rahta tha
magar us par
ab jata nahin main
thak ke baiTh jata hun
wo manzar
us taraf KHamosh
main is par chup chup sa
faza sakit
magar kuchh TuTte rahne ki aahaT bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.