ek nae lafz ki taKHliq
zindagī lafz hai
maut bhī lafz hai
zindagī kī tarāshī huī avvalīñ saut se sarhad-e-maut tak lafz hī lafz haiñ
saañs bhī lafz hai
saañs lene kī har ik zarūrat bhī lafzoñ kī muhtāj hai
aag paanī havā ḳhaak sab lafz haiñ
aañkh chehra jabīñ haath lab lafz haiñ
sub.h-o-shām-o-shafaq roz-o-shab lafz haiñ
vaqt bhī lafz hai
vaqt kā sāz-o-āhañg bhī
rañg bhī sañg bhī
amn bhī jañg bhī
lafz hī lafz haiñ
phuul bhī lafz hai
dhuul bhī lafz hai
lafz qātil bhī hai
lafz maqtūl bhī
lafz hī ḳhūñ-bahā
lafz dast-e-duā
lafz arz-o-samā
sub.h-e-fasl-e-bahārāñ bhī ik lafz hai
shām-e-hijr-e-nigārāñ bhī ik lafz hai
raunaq-e-bazm-e-yārāñ bhī ik lafz hai
mahfil-e-dil-figārāñ bhī ik lafz hai
maiñ bhī ik lafz huuñ
tū bhī ik lafz hai
aa ki lafzoñ kī sūrat fazāoñ meñ mil kar bikhar jaa.eñ ham
ik nayā lafz taḳhlīq kar jaa.eñ ham
aa ki mar jaa.eñ ham
zindagi lafz hai
maut bhi lafz hai
zindagi ki tarashi hui awwalin saut se sarhad-e-maut tak lafz hi lafz hain
sans bhi lafz hai
sans lene ki har ek zarurat bhi lafzon ki muhtaj hai
aag pani hawa KHak sab lafz hain
aankh chehra jabin hath lab lafz hain
subh-o-sham-o-shafaq roz-o-shab lafz hain
waqt bhi lafz hai
waqt ka saz-o-ahang bhi
rang bhi sang bhi
amn bhi jang bhi
lafz hi lafz hain
phul bhi lafz hai
dhul bhi lafz hai
lafz qatil bhi hai
lafz maqtul bhi
lafz hi KHun-baha
lafz dast-e-dua
lafz arz-o-sama
subh-e-fasl-e-bahaaran bhi ek lafz hai
sham-e-hijr-e-nigaran bhi ek lafz hai
raunaq-e-bazm-e-yaran bhi ek lafz hai
mahfil-e-dil-figaran bhi ek lafz hai
main bhi ek lafz hun
tu bhi ek lafz hai
aa ki lafzon ki surat fazaon mein mil kar bikhar jaen hum
ek naya lafz taKHliq kar jaen hum
aa ki mar jaen hum
- Book : Kulliyat-e-mohsin (Pg. 524)
- Author : Mohsin Naqvi
- Publication : Mavra Publishers (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.