ek nazm 2
maiñ ne tumheñ
tumhāre kañval jhiil chehre ko
farāmosh kar diyā hai
purānī sā.atoñ kī
shīrīniyoñ ko yaksar bhulā diyā hai
lafzoñ ke marmarīñ paikar
jumloñ kī latīf sauġhāteñ
ham se hamārā sab kuchh
chhīn liyā gayā
chhīnñe vaale qazzāq
hamāre apne aziiz the
hamāre apne rafīq the
main ne tumhein
tumhaare kanwal jhil chehre ko
faramosh kar diya hai
purani saaton ki
shiriniyon ko yaksar bhula diya hai
lafzon ke marmarin paikar
jumlon ki latif saughaten
hum se hamara sab kuchh
chhin liya gaya
chhinne wale qazzaq
hamare apne aziz the
hamare apne rafiq the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.