ek nazm
dānish-var kahlāne vaalo
tum kyā samjho
mub.ham chīzeñ kyā hotī haiñ
thal ke registān meñ rahne vaale logo
tum kyā jaano
sāvan kyā hai
apne badan ko
raat meñ andhī tārīkī se
din meñ ḳhud apne hāthoñ se
Dhāñpne vaalo
uryāñ logo
tum kyā jaano
cholī kyā hai dāman kyā hai
shahr-badar ho jaane vaalo
fuTpāthoñ par sone vaalo
tum kyā samjho
chhat kyā hai dīvāreñ kyā haiñ
āñgan kyā hai
ik laḌkī kā ḳhizāñ-rasīda baazū thāme
nabz ke uupar haath jamā.e
ek sadā par kaan lagā.e
dhaḌkan sāñseñ ginñe vaalo
tum kyā jaano
mub.ham chīzeñ kyā hotī haiñ
dhaḌkan kyā hai jīvan kyā hai
sattarah-number ke bistar par
apnī qaid kā lamha lamha ginñe vaalī
ye laḌkī jo
barsoñ kī bīmār nazar aatī hai tum ko
sola saal kī ik beva hai
hañste hañste ro paḌtī hai
andar tak se bhiig chukī hai
jaan chukī hai
sāvan kyā hai
is se pūchho
kāñch kā bartan kyā hotā hai
is se pūchho
mub.ham chīzeñ kyā hotī haiñ
suunā āñgan tanhā jīvan kyā hotā hai
danish-war kahlane walo
tum kya samjho
mubham chizen kya hoti hain
thal ke registan mein rahne wale logo
tum kya jaano
sawan kya hai
apne badan ko
raat mein andhi tariki se
din mein KHud apne hathon se
Dhanpne walo
uryan logo
tum kya jaano
choli kya hai daman kya hai
shahr-badar ho jaane walo
fuTpathon par sone walo
tum kya samjho
chhat kya hai diwaren kya hain
aangan kya hai
ek laDki ka KHizan-rasida bazu thame
nabz ke upar hath jamae
ek sada par kan lagae
dhaDkan sansen ginne walo
tum kya jaano
mubham chizen kya hoti hain
dhaDkan kya hai jiwan kya hai
sattarah-number ke bistar par
apni qaid ka lamha lamha ginne wali
ye laDki jo
barson ki bimar nazar aati hai tum ko
sola sal ki ek bewa hai
hanste hanste ro paDti hai
andar tak se bhig chuki hai
jaan chuki hai
sawan kya hai
is se puchho
kanch ka bartan kya hota hai
is se puchho
mubham chizen kya hoti hain
suna aangan tanha jiwan kya hota hai
- Book : Muallim-e-urdu(Lucknow) (Pg. 35)
- Author : Izhar Ahmad
- Publication : Published by Izhar ahmad Editor,and publisher at the Shagufta printers Lucknow & Distributed simmam Publication 499/129 Hasanganj lucknow-226020 ( February-1992)
- Edition : February-1992
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.