ek nazm
chhuTpuTe ke ġhurfe meñ
lamhe ab bhī milte haiñ
sub.h ke dhundalke meñ
phuul ab bhī khilte haiñ
ab bhī kohsāroñ par
sar-kashīda hariyālī
pattharoñ kī dīvāreñ
toḌ kar nikaltī hai
ab bhī āb-zāroñ par
kashtiyoñ kī sūrat meñ
ziist kī tavānā.ī
zāviye badaltī hai
ab bhī ghaas ke maidāñ
shabnamī sitāroñ se
mere ḳhāk-dāñ par bhī
āsmāñ sajāte haiñ
ab bhī khet gandum ke
tez dhuup meñ tap kar
is ġharīb dhartī ko
zar-fishāñ banāte haiñ
saaye ab bhī chalte haiñ
sūraj ab bhī Dhaltā hai
sub.heñ ab bhī raushan haiñ
rāteñ ab bhī kaalī haiñ
zehn ab bhī chaTyal haiñ
rūheñ ab bhī banjar haiñ
jism ab bhī nañge haiñ
haath ab bhī ḳhālī haiñ
ab bhī sabz fasloñ meñ
zindagī ke rakhvāle
zard zard chehroñ par
ḳhaak oḌhe rahte haiñ
ab bhī un kī taqdīreñ
munqalib nahīñ hotīñ
munqalib nahīñ hoñgī
kahne vaale kahte haiñ
gardishoñ kī rānā.ī
aam hī nahīñ hotī
apne roz-e-avval kī
shaam hī nahīñ hotī
chhuTpuTe ke ghurfe mein
lamhe ab bhi milte hain
subh ke dhundalke mein
phul ab bhi khilte hain
ab bhi kohsaron par
sar-kashida hariyali
pattharon ki diwaren
toD kar nikalti hai
ab bhi aab-zaron par
kashtiyon ki surat mein
zist ki tawanai
zawiye badalti hai
ab bhi ghas ke maidan
shabnami sitaron se
mere KHak-dan par bhi
aasman sajate hain
ab bhi khet gandum ke
tez dhup mein tap kar
is gharib dharti ko
zar-fishan banate hain
saye ab bhi chalte hain
suraj ab bhi Dhalta hai
subhen ab bhi raushan hain
raaten ab bhi kali hain
zehn ab bhi chaTyal hain
ruhen ab bhi banjar hain
jism ab bhi nange hain
hath ab bhi KHali hain
ab bhi sabz faslon mein
zindagi ke rakhwale
zard zard chehron par
KHak oDhe rahte hain
ab bhi un ki taqdiren
munqalib nahin hotin
munqalib nahin hongi
kahne wale kahte hain
gardishon ki ranai
aam hi nahin hoti
apne roz-e-awwal ki
sham hi nahin hoti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.