ek nazm
maiñ sard-mehr zindagī se kyā talab karūñ
talab to ek bahr hai
zindagī to saañs kī lapaktī ek lahar hai
jo aa ke phir guzar ga.ī
chand saal us ke naqsh-e-pā
yahīñ kahīñ kisī ke zehn meñ rahe
maiñ dekhtā huuñ
shāḳh-e-umr zard mausamoñ kī dhuup meñ
isī ḳhayāl-e-ḳhām meñ
ki vaqt ghaḌī kī qaid meñ hai
barg barg jhuk ga.ī hai
zindagī ne kyā diyā mujhe
tarah tarah ke ārize dimāġh kā buḳhār
iḳhtilāl aur havās ke shu.ūr kā malāl
raat ko maiñ jāgtā rahūñ
tamām din baqā kī aarzū meñ afsaroñ ke ḳhauf se
nashist-gāh-e-intizār meñ bahut hī phīkī muskurāhaToñ ke saath
faisle ke intizār meñ lahū kī gardishoñ ke saath
zaat kī aziim saltanat ko aag meñ lipTā dekhtā rahūñ
ye cigaretoñ kā nīl-gūñ dhuāñ ġhubār hī ġhubār
bhāgtā savār asp kā sunahrī na.al rāste meñ chhoḌ kar kidhar gayā
ye shor ab kidhar se aa rahā hai
ġhaur se suno
nahīñ ye kuchh nahīñ
maiñ intizār kī tavīl sā.atoñ meñ nāḳhunoñ se mez ko bajā rahā huuñ
par vo kāġhazoñ meñ ġharq hai
bahut qadīm raat ibtidā se intihā ke lā-zavāl bahr meñ utar gayā huuñ
saare din ke ġham ko maiñ
nashe kī ik ridā meñ Dhāñp duuñ
magar nasha harām jurm hai
to phir palaT ke maiñ ḳhayāl meñ muqīm ishratoñ ko ā.inoñ meñ dekh luuñ
lazīz thartharāte jism
Dhol kī dhamak pe lahar lahar khil rahe haiñ
al-amāñ muharramāt
maiñ sard-mehr zindagī se kyā talab karūñ
ki vo bhī ḳhud asiir hai
main sard-mehr zindagi se kya talab karun
talab to ek bahr hai
zindagi to sans ki lapakti ek lahar hai
jo aa ke phir guzar gai
chand sal us ke naqsh-e-pa
yahin kahin kisi ke zehn mein rahe
main dekhta hun
shaKH-e-umr zard mausamon ki dhup mein
isi KHayal-e-KHam mein
ki waqt ghaDi ki qaid mein hai
barg barg jhuk gai hai
zindagi ne kya diya mujhe
tarah tarah ke aarize dimagh ka buKHar
iKHtilal aur hawas ke shuur ka malal
raat ko main jagta rahun
tamam din baqa ki aarzu mein afsaron ke KHauf se
nashist-gah-e-intizar mein bahut hi phiki muskurahaTon ke sath
faisle ke intizar mein lahu ki gardishon ke sath
zat ki azim saltanat ko aag mein lipTa dekhta rahun
ye cigareton ka nil-gun dhuan ghubar hi ghubar
bhagta sawar asp ka sunahri nal raste mein chhoD kar kidhar gaya
ye shor ab kidhar se aa raha hai
ghaur se suno
nahin ye kuchh nahin
main intizar ki tawil saaton mein naKHunon se mez ko baja raha hun
par wo kaghazon mein gharq hai
bahut qadim raat ibtida se intiha ke la-zawal bahr mein utar gaya hun
sare din ke gham ko main
nashe ki ek rida mein Dhanp dun
magar nasha haram jurm hai
to phir palaT ke main KHayal mein muqim ishraton ko aainon mein dekh lun
laziz thartharaate jism
Dhol ki dhamak pe lahar lahar khil rahe hain
al-aman muharramat
main sard-mehr zindagi se kya talab karun
ki wo bhi KHud asir hai
- Book : Pakistani Adab (Pg. 113)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.