ek nazm
rafta rafta sab āvāzeñ
jo dil ke andar haiñ
aur bāhar
ik aise sakte meñ kho jā.eñgī
jis kā mafhūm abhī tak
kisī ishā.at-ghar ke harfoñ meñ Dhalā nahīñ hai
āsār-e-qadīma ke māhir
madfūn purāne shahr ke andar bāhar se khod chuke haiñ
lekin us kā mafhūm abhī tak
kisī imārat kī shāh-gardish kī mehrāboñ meñ
aur kisī chaar ā.īne ke riste ghaav meñ milā nahīñ hai
jis ko is kā raaz mile vo hasb-zel pate par pahuñchā de:
'anīs-nāgī', lahore
rafta rafta sab aawazen
jo dil ke andar hain
aur bahar
ek aise sakte mein kho jaengi
jis ka mafhum abhi tak
kisi ishaat-ghar ke harfon mein Dhala nahin hai
aasar-e-qadima ke mahir
madfun purane shahr ke andar bahar se khod chuke hain
lekin us ka mafhum abhi tak
kisi imarat ki shah-gardish ki mehrabon mein
aur kisi chaar aaine ke riste ghaw mein mila nahin hai
jis ko is ka raaz mile wo hasb-zel pate par pahuncha de:
'anis-nagi', lahore
- Book : Saweera (magazine-56 (Pg. 50)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.