ek nazm
mirā muqaddar ajiib hai
maiñ tavīl rātoñ kā vo diyā huuñ
jo ik lagan se
zamīr-e-mujrim ke ḳhvāb meñ kapkapā rahā huuñ
ise milegī najāt mujh ko patā nahīñ hai
maiñ tīrgī kā tazād huuñ
aur zamīr-e-mujrim kā ḳhvāb huuñ
mera muqaddar ajib hai
main tawil raaton ka wo diya hun
jo ek lagan se
zamir-e-mujrim ke KHwab mein kapkapa raha hun
ise milegi najat mujh ko pata nahin hai
main tirgi ka tazad hun
aur zamir-e-mujrim ka KHwab hun
- Book : Saweera (magazine-56 (Pg. 49)
- Author : Salahuddin Mahmood
- Publication : Saweera art Press, Pakistan (1979)
- Edition : 1979
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.