ek nazm
har-chand hai zauq-e-kāmrānī
hañgāma-e-zindagī kā baa.is
har-chand hai āgahī kī zad meñ
ye husn-e-gul-o-mah-o-sitāra
har-chand har aarzū kā dhārā
gum dasht-e-sarāb meñ huā hai
anjām-e-amal hai sargirānī
ik ashk-e-alam hai zindagānī
lekin na rahe agar jahāñ meñ
takmīl-e-hunar kī koī sūrat
duniyā meñ ki be-ḳhayāl sāhil
tūfāñ hai hayāt kī ravānī
manzil to nahīñ hai koī manzil
tāham ye safar kā barg-o-sāmāñ
ye rañg-e-nishāt-e-kār-dānī
har gaam umīd-e-kāmrānī
arbāb-e-murād kā sila hai
gar ye bhī na ho to aur kyā hai
har-chand hai zauq-e-kaamrani
hangama-e-zindagi ka bais
har-chand hai aagahi ki zad mein
ye husn-e-gul-o-mah-o-sitara
har-chand har aarzu ka dhaara
gum dasht-e-sarab mein hua hai
anjam-e-amal hai sargirani
ek ashk-e-alam hai zindagani
lekin na rahe agar jahan mein
takmil-e-hunar ki koi surat
duniya mein ki be-KHayal sahil
tufan hai hayat ki rawani
manzil to nahin hai koi manzil
taham ye safar ka barg-o-saman
ye rang-e-nishat-e-kar-dani
har gam umid-e-kaamrani
arbab-e-murad ka sila hai
gar ye bhi na ho to aur kya hai
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 313)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (Issue No. 25Edition Nov. Dec. 1986)
- Edition : Issue No. 25Edition Nov. Dec. 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.