ye ta.alīm gar mil bhī jaa.e to kyā hai
ye schōl hai ik ḳharāboñ kī duniyā
savāloñ kī bastī javāboñ kī duniyā
ye pencil ye kāġhaz kitāboñ kī duniyā
ye ta.alīm gar mil bhī jaa.e to kyā hai
na english hī jānūñ na social hī bhaa.e
na bio hī samjhūñ na hindī hī aa.e
jo marzī chale to karūñ sab ko bye
ye ta.alīm gar mil bhī jaa.e to kyā hai
musībat hai kaisī sahar kī jagā.ī
sabhī log sote haiñ oḌhe razā.ī
magar merī qismat meñ hai muñh dikhā.ī
ye ta.alīm gar mil bhī jaa.e to kyā hai
burā muuD us par savā man kā basta
aur us par jise dekhiye ro.ab kastā
yahāñ merā bachpan hai har shai se sastā
ye ta.alīm gar mil bhī jaa.e to kyā hai
zarā dost se baat kar leñ to aafat
kisī vaqt chhup kar guzar leñ to aafat
ijāzat kisī se agar leñ to aafat
ye ta.alīm gar mil bhī jaa.e to kyā hai
na filmoñ kī bāteñ na kheloñ kī bāteñ
ye be-kār kī paas failoñ kī bāteñ
usūloñ ke qisse jhameloñ kī bāteñ
ye ta.alīm gar mil bhī jaa.e to kyā hai
ye ta.alīm gar mil bhī jaa.e to kyā hai
mere sāmne se haTā lo kitābeñ
mire teachero tum sambhālo kitābeñ
principal ke kāñdhoñ pe Daalo kitābeñ
ye talim gar mil bhi jae to kya hai
ye school hai ek KHarabon ki duniya
sawalon ki basti jawabon ki duniya
ye pencil ye kaghaz kitabon ki duniya
ye talim gar mil bhi jae to kya hai
na english hi jaanun na social hi bhae
na bio hi samjhun na hindi hi aae
jo marzi chale to karun sab ko bye
ye talim gar mil bhi jae to kya hai
musibat hai kaisi sahar ki jagai
sabhi log sote hain oDhe razai
magar meri qismat mein hai munh dikhai
ye talim gar mil bhi jae to kya hai
bura muD us par sawa man ka basta
aur us par jise dekhiye roab kasta
yahan mera bachpan hai har shai se sasta
ye talim gar mil bhi jae to kya hai
zara dost se baat kar len to aafat
kisi waqt chhup kar guzar len to aafat
ijazat kisi se agar len to aafat
ye talim gar mil bhi jae to kya hai
na filmon ki baaten na khelon ki baaten
ye be-kar ki pas failon ki baaten
usulon ke qisse jhamelon ki baaten
ye talim gar mil bhi jae to kya hai
ye talim gar mil bhi jae to kya hai
mere samne se haTa lo kitaben
mere teachero tum sambhaalo kitaben
principal ke kandhon pe Dalo kitaben
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.