ek nazm
fikr kī dauḌ meñ
tum duur nikal aa.e ho
apnī manzil ko bahut pīchhe hī chhoḌ aa.e ho
kahīñ aisā na ho
kal tum ko
palaTnā paḌe manzil kī taraf
aur phir
tāb-o-tavāñ saath na de
husn-e-bayāñ saath na de
ḳhāma angusht-ba-dandāñ rah jaa.e
ungliyāñ sākit-o-jāmid ho jaa.eñ
paañv tharrāne lageñ
aur manzil to kujā
naqsh-e-kaf-e-pā na mile
fikr ki dauD mein
tum dur nikal aae ho
apni manzil ko bahut pichhe hi chhoD aae ho
kahin aisa na ho
kal tum ko
palaTna paDe manzil ki taraf
aur phir
tab-o-tawan sath na de
husn-e-bayan sath na de
KHama angusht-ba-dandan rah jae
ungliyan sakit-o-jamid ho jaen
panw tharrane lagen
aur manzil to kuja
naqsh-e-kaf-e-pa na mile
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.