ek nazm
gaaḌī guzar ga.ī
dhueñ aur dhuul kī chhatrī ne
miTTī ko Dhāñp diyā
kabūtar ḳhush-ilhān muazzin ke
eraab juḌe jumloñ ke biich
kābuk se sar Takrātā hai
TuuTī mez pe maiñ ne āñkheñ rakhī haiñ
aur gaThrī ban kar
kursī pe baiThā huuñ
maiñ jo apne maile kafan kī soñdhī ḳhushbū
sūñgh chukā huuñ jaan gayā huuñ
ik yā do farlāñg farār kā rāsta hai
jiinā jiite rahnā hī ne.amat hai
jañgal hai aur girye kī shāḳhoñ se dast-e-savāl
kaasa ban kar laTkā hai
maiñ kaase meñ chhup kar baiThā huuñ
ghar kā saarā sāz-o-sāmān bech kar niklā huuñ
ye soch kar ghar se niklā huuñ
gaDi guzar gai
dhuen aur dhul ki chhatri ne
miTTi ko Dhanp diya
kabutar KHush-ilhan muazzin ke
erab juDe jumlon ke bich
kabuk se sar Takraata hai
TuTi mez pe main ne aankhen rakhi hain
aur gaThri ban kar
kursi pe baiTha hun
main jo apne maile kafan ki sondhi KHushbu
sungh chuka hun jaan gaya hun
ek ya do farlang farar ka rasta hai
jina jite rahna hi neamat hai
jangal hai aur girye ki shaKHon se dast-e-sawal
kasa ban kar laTka hai
main kase mein chhup kar baiTha hun
ghar ka sara saz-o-saman bech kar nikla hun
ye soch kar ghar se nikla hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.