ek nazm
vo ik āvāra o majnūñ
vo ik shā.er
jise apnī sharāfat ke tahaffuz meñ
kiyā thā qatl ik muddat huī maiñ ne
vahī āvāra o majnūñ
vahī shā.er
adam ke gosha-e-tārīk se bāhar nikal kar
qahqahe mujh par lagātā hai
vo kahtā hai
kabhī aisā bhī hotā hai
ki sa.ī-e-ḳhud-kushī nākām rahtī hai
wo ek aawara o majnun
wo ek shaer
jise apni sharafat ke tahaffuz mein
kiya tha qatl ek muddat hui main ne
wahi aawara o majnun
wahi shaer
adam ke gosha-e-tarik se bahar nikal kar
qahqahe mujh par lagata hai
wo kahta hai
kabhi aisa bhi hota hai
ki sai-e-KHud-kushi nakaam rahti hai
- Book : Kulliyat Gopal Mittal (Pg. 115)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.