ek nazm ijazaton ke liye
tum mujhe pahan sakte ho
ki maiñ ne apne aap ko
dhule hue kapḌe kī tarah
ka.ī daf.a nichoḌā hai
ka.ī daf.a sukhāyā hai
tum mujhe chabā sakte ho
ki maiñ chūsne vaalī golī kī tarah
apnī miThās kī tah ghulā chukī huuñ
tum mujhe rulā sakte ho
ki maiñ ne apne aap ko qatl kar ke
apne ḳhuun ko paanī paanī kar ke
āñkhoñ meñ jhiil banā lī hai
tum mujhe bhuun sakte ho
ki merī boTī boTī
taḌap taḌap kar
zindagī kī har saañs ko
alvidā.a kah chukī hai
tum mujhe masal sakte ho
ki roTī sūkhne se pahle
ḳhasta ho kar bhurnhurī ho jaatī hai
tum mujhe ta.avīz kī tarah
ghol kar pī jaao
to maiñ kalīsāoñ meñ bajtī ghanTiyoñ meñ
isī tarah tulūa hotī rahūñgī
jaise gul-e-āftāb
tum mujhe pahan sakte ho
ki main ne apne aap ko
dhule hue kapDe ki tarah
kai dafa nichoDa hai
kai dafa sukhaya hai
tum mujhe chaba sakte ho
ki main chusne wali goli ki tarah
apni miThas ki tah ghula chuki hun
tum mujhe rula sakte ho
ki main ne apne aap ko qatl kar ke
apne KHun ko pani pani kar ke
aankhon mein jhil bana li hai
tum mujhe bhun sakte ho
ki meri boTi boTi
taDap taDap kar
zindagi ki har sans ko
alwidaa kah chuki hai
tum mujhe masal sakte ho
ki roTi sukhne se pahle
KHasta ho kar bhurnhuri ho jati hai
tum mujhe tawiz ki tarah
ghol kar pi jao
to main kalisaon mein bajti ghanTiyon mein
isi tarah tulua hoti rahungi
jaise gul-e-aftab
- Book : kulliyat dusht-e-qais main laila (Pg. 805)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.