Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek nazm

Javed Saba

ek nazm

Javed Saba

kahīñ bhī chhiḌak do ye roTī ke biij

ġhulāmoñ fasleñ ugāte raho

ye vo fasl hai jis ko paanī huā bhī nahīñ chāhiye

ik faqat bhuuk tez bārish chhiḌkāv darkār hai

izzat-e-nafs khaad ko jis qadar apne pairoñ se

masloge kuchloge

utnī achchhī milegī ḳhabar

aur to aur un ġhulāmoñ nasleñ kitāboñ ko apnī

darāñtī banā kar

vo kāteñgī jo un ke purkhoñ ne boyā nahīñ thā

munāfe.a kamāo

tijorī bharo

aur ġhulāmoñ fasleñ ugāte raho

kahin bhi chhiDak do ye roTi ke bij

ghulamon ki faslen ugate raho

ye wo fasl hai jis ko pani hua bhi nahin chahiye

ek faqat bhuk ki tez barish ka chhiDkaw darkar hai

izzat-e-nafs ki khad ko jis qadar apne pairon se

masloge kuchloge

utni hi achchhi milegi KHabar

aur to aur un ghulamon ki naslen kitabon ko apni

daranti bana kar

wo katengi jo un ke purkhon ne boya nahin tha

munafea kamao

tijori bharo

aur ghulamon ki faslen ugate raho

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now