Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek nazm ki ghazal kahen jise

Salman Sarwat

ek nazm ki ghazal kahen jise

Salman Sarwat

MORE BYSalman Sarwat

    rivāyatoñ libās pahne

    guzishtagāñ nisāb thāme

    tarāziyat ke nigār-ḳhānoñ meñ bain kartī

    ghuTan-zada qāfiyoñ radīfoñ ke darmiyāñ

    muntashir ḳhayāloñ ke bojh apne dil-e-hazīñ par

    uThā.e phirtī huī ikaa.ī

    vufūr-e-taḳhlīq se pareshāñ

    qadam qadam fard fard hotī bikhar rahī hai

    usī ke juz haiñ

    jo is pe haavī hue to aise

    ki aap apnī alag duniyā basā rahe haiñ

    ajiib duniyā

    jo kahkashāñ se alag khaḌī hai

    jo apne mehvar pe dam-ba-ḳhud hai

    magar vo āzurda kahkashāñ

    gardishoñ se laḌtī

    ka.ī zamāne guzār aa.ī

    mukālme se mukāshfe tak

    mushāhide se muāmle tak

    ka.ī safar the ka.ī paḌāv

    jahāñ vo dīvāna-vār phirtī rahī

    ḳhalish kam huī na unvāñ ban sakā

    aur ḳhayāl tashkīl ke marāhil meñ gum rahā

    riwayaton ka libas pahne

    guzishtagan ka nisab thame

    taraaziyat ke nigar-KHanon mein bain karti

    ghuTan-zada qafiyon radifon ke darmiyan

    muntashir KHayalon ke bojh apne dil-e-hazin par

    uThae phirti hui ikai

    wufur-e-taKHliq se pareshan

    qadam qadam fard fard hoti bikhar rahi hai

    usi ke juz hain

    jo is pe hawi hue to aise

    ki aap apni alag hi duniya basa rahe hain

    ajib duniya

    jo kahkashan se alag khaDi hai

    jo apne mehwar pe dam-ba-KHud hai

    magar wo aazurda kahkashan

    gardishon se laDti

    kai zamane guzar aai

    mukalme se mukashfe tak

    mushahide se muamle tak

    kai safar the kai paDaw

    jahan wo diwana-war phirti rahi

    KHalish kam hui na unwan hi ban saka

    aur KHayal tashkil ke marahil mein gum raha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now