ek nazm likhna mushkil hai
ise vahī jāntā hai
jis ne ek bachcha janā ho
yā use janm dene se
pahle bahā diyā ho
donoñ dukh ek hī haiñ
jaise tumheñ
garm garm jalte hue lohe se
dāġhā jā rahā ho
yā tumhāre jism ko
guudā jā rahā ho
ek sire se dūsre sire tak
andhere aur sannāTe meñ
darvāza ho na koī shigāf
ki āvāz bāhar jā sake
bas jaise
ek kund chhurī jo tumhāre hī hāthoñ
tumhārī gardan kaaT rahī ho
aur is lazzat-āmez ḳhud-aziyyatī meñ
tum ḳhud ko halkān hote hue
dekh rahe ho
lamha-ba-lamha
ek vajūd ko
dūsre se bāhar dhakelnā
bāhar ālūdgiyoñ ke Dher par
dhīre dhīre
koī naam dene ke liye
ise wahi jaanta hai
jis ne ek bachcha jana ho
ya use janm dene se
pahle baha diya ho
donon dukh ek hi hain
jaise tumhein
garm garm jalte hue lohe se
dagha ja raha ho
ya tumhaare jism ko
guda ja raha ho
ek sire se dusre sire tak
andhere aur sannaTe mein
darwaza ho na koi shigaf
ki aawaz bahar ja sake
bas jaise
ek kund chhuri jo tumhaare hi hathon
tumhaari gardan kaT rahi ho
aur is lazzat-amez KHud-aziyyati mein
tum KHud ko halkan hote hue
dekh rahe ho
lamha-ba-lamha
ek wajud ko
dusre se bahar dhakelna
bahar aaludgiyon ke Dher par
dhire dhire
koi nam dene ke liye
- Book : Meez per rakhe haath (Pg. 61)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.