ek nazm man ke liye
pahlī baar maiñ kab takiye par sar rakh kar soī thī
un ke badan ko DhūñDā thā
aur roī thī
do hāthoñ ne bheñch liyā thā
garm āġhosh kī rāhat meñ
kaisī gahrī niiñd mujhe tab aa.ī thī
kab duur huī thī pahlī baar
apne pairoñ par chal kar
bistar se alag phir ghar se alag
ik lambe safar par niklī thī
dhīre dhīre duur huī kab
narm badan kī garmī se
is mīThī niiñd kī rāhat se
ab sochtī huuñ
aur rotī huuñ
pahli bar main kab takiye par sar rakh kar soi thi
un ke badan ko DhunDa tha
aur roi thi
do hathon ne bhench liya tha
garm aaghosh ki rahat mein
kaisi gahri nind mujhe tab aai thi
kab dur hui thi pahli bar
apne pairon par chal kar
bistar se alag phir ghar se alag
ek lambe safar par nikli thi
dhire dhire dur hui kab
narm badan ki garmi se
is miThi nind ki rahat se
ab sochti hun
aur roti hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.