ek nazm
dil kā dariyā chaḌh jaa.e to
āñkhoñ par band bāñdhnā mushkil ho jaatā hai
ik lamha ik sadī bane to
kahne vaalī baat adhūrī rah jaatī hai
ye mausam
ye visāl kā mausam pattī pattī ho jaatā hai
hone aur na hone kā ehsās bhī miTne lagtā hai
dil kā dariyā chaḌh jaa.e to
āñkhoñ par band bāñdhnā mushkil ho jaatā hai
dil ka dariya chaDh jae to
aankhon par band bandhna mushkil ho jata hai
ek lamha ek sadi bane to
kahne wali baat adhuri rah jati hai
ye mausam
ye visal ka mausam patti patti ho jata hai
hone aur na hone ka ehsas bhi miTne lagta hai
dil ka dariya chaDh jae to
aankhon par band bandhna mushkil ho jata hai
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 497)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (Issue No. 25Edition Nov. Dec. 1986)
- Edition : Issue No. 25Edition Nov. Dec. 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.