ek nazm
raat ke ḳhvāboñ kā ik turfa samāñ hotā hai
sub.h ke gūñjte āvāze se chauñk uThtā huuñ
saañs letā huuñ bahar-kaif gumāñ hotā hai
uñgliyāñ phertā huuñ apne badan par ab to
kārvāñ hosh kā yādoñ kā ravāñ hotā hai
ye nayā din hai magar vaqt kahāñ Thahrā hai
sāmne khūñTī se laTkā hai mirā garm libās
jis pe ḳhud-sāḳhta pābandiyoñ kā pahrā hai
jin ke saa.e meñ abhī mujh ko ravāñ honā hai
merī tahzīb kā har zaḳhm bahut gahrā hai
aur bhī jāgne vaale haiñ ḳhayāl aate haiñ
sochtā huuñ mirī sūrat kahīñ vo bhī uTh kar
dard sahte haiñ kabhī dard ko sahlāte haiñ
jaane kis jurm kī pādāsh meñ yuuñ ghultā huuñ
log to varna isī baat pe itrāte haiñ
duur be-dhyānī meñ ghaḌiyāl sadā detā hai
zehan dil jism har ik chiiz chamak uThtī hai
maar kar koḌe koī jaise uThā detā hai
Dar ke sab bhāgte haiñ khetoñ ko maidānoñ ko
vaqt bhaTke huoñ ko rah pe lagā detā hai
lahlahāte hue gandum ke sajīle paudo
muskurāte hue khetoñ ke muhāfiz peḌo
jhūmtī Tahniyoñ ko vajd meñ laate patto
mujh ko qudrat do ki maiñ tum ko sarāhūñ chāhūñ
shahr ke sehr ko toḌūñ tumheñ pālūñ dekhūñ
raat ke KHwabon ka ek turfa saman hota hai
subh ke gunjte aawaze se chaunk uThta hun
sans leta hun bahar-kaif guman hota hai
ungliyan pherta hun apne badan par ab to
karwan hosh ka yaadon ka rawan hota hai
ye naya din hai magar waqt kahan Thahra hai
samne khunTi se laTka hai mera garm libas
jis pe KHud-saKHta pabandiyon ka pahra hai
jin ke sae mein abhi mujh ko rawan hona hai
meri tahzib ka har zaKHm bahut gahra hai
aur bhi jagne wale hain KHayal aate hain
sochta hun meri surat kahin wo bhi uTh kar
dard sahte hain kabhi dard ko sahlate hain
jaane kis jurm ki padash mein yun ghulta hun
log to warna isi baat pe itraate hain
dur be-dhyani mein ghaDiyal sada deta hai
zehan dil jism har ek chiz chamak uThti hai
mar kar koDe koi jaise uTha deta hai
Dar ke sab bhagte hain kheton ko maidanon ko
waqt bhaTke huon ko rah pe laga deta hai
lahlahate hue gandum ke sajile paudo
muskuraate hue kheton ke muhafiz peDo
jhumti Tahniyon ko wajd mein late patto
mujh ko qudrat do ki main tum ko sarahun chahun
shahr ke sehr ko toDun tumhein palun dekhun
- Book : sheerazah (Pg. 72)
- Author : makhmoor saeedi,Parem Gopal Mittal
- Publication : P -K Publication 3072 Partap stareet gola Market -Daryaganj delhi-6 (1973)
- Edition : 1973
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.