ek nazm roz aati hai
vo aatī hai
roz mere bahut qarīb
mujhe sahlātī hai
gudgudātī hai
uTho... uTho...
maiñ hairat aur ḳhushī se
use dekhtī huuñ
tum kab ā.īñ?
abhii... abhī to aa.ī huuñ...
vo mere siine par apnā sar rakh detī hai
mere pistānoñ se kheltī hai
mere hoñToñ ko chūstī hai
merī naaf ke nīche
bahut nīche...
merī saañs uupar kī uupar rah jaatī hai
maiñ kūñvāriyoñ kī tarah
tilmilātī huuñ
bal khātī huuñ
vo mujhe uThātī hai
mere kapḌe ek ek kar ke utārtī hai
vo merī āñkhoñ meñ āñkheñ Daal kar
hañstī hai
uTTho...
maiñ baḌbaḌātī rahtī huuñ
aisī hī be-sudh
hairat se aur ḳhushī se
uTTho...
vo merī gardan meñ bāñheñ Daal kar
kahtī hai
vo mujhe duur se dekhtī hai
aur canvas par mirī mādar-zād
tasvīr banātī hai
maiñ be-sudh paḌī rahtī huuñ
is Dar se ki kahīñ vo chalī na jaa.e
maiñ use Dubonā chāhtī huuñ
ek hī vaar par us par chaḌh dauḌnā
us par bilbilā kar hamla karnā
maiñ bhī chāhtī huuñ... use aise hī
apnī giraft meñ le aa.uuñ
lekin is se pahle ki
maiñ harakat karūñ
vo chham-chham kartī
khiḌkī yā darvāze se bāhar
bhaag jaatī hai
maiñ be-sudh
hairat aur ḳhauf se
aur malāmat se
āñkheñ phāḌe use dekhtī
rahtī huuñ
vo chalī jaatī hai
roz aisā hī hotā hai
wo aati hai
roz mere bahut qarib
mujhe sahlati hai
gudgudati hai
uTho uTho
main hairat aur KHushi se
use dekhti hun
tum kab aain?
abhi abhi to aai hun
wo mere sine par apna sar rakh deti hai
mere pistanon se khelti hai
mere honTon ko chusti hai
meri naf ke niche
bahut niche
meri sans upar ki upar rah jati hai
main kunwariyon ki tarah
tilmilati hun
bal khati hun
wo mujhe uThati hai
mere kapDe ek ek kar ke utarti hai
wo meri aankhon mein aankhen Dal kar
hansti hai
uTTho
main baDbaDati rahti hun
aisi hi be-sudh
hairat se aur KHushi se
uTTho
wo meri gardan mein banhen Dal kar
kahti hai
wo mujhe dur se dekhti hai
aur canwas par meri madar-zad
taswir banati hai
main be-sudh paDi rahti hun
is Dar se ki kahin wo chali na jae
main use Dubona chahti hun
ek hi war par us par chaDh dauDna
us par bilbila kar hamla karna
main bhi chahti hun use aise hi
apni giraft mein le aaun
lekin is se pahle ki
main harakat karun
wo chham-chham karti
khiDki ya darwaze se bahar
bhag jati hai
main be-sudh
hairat aur KHauf se
aur malamat se
aankhen phaDe use dekhti
rahti hun
wo chali jati hai
roz aisa hi hota hai
- Book : AN EVENING OF CAGED BEASTS (Pg. 88)
- Author : Asif Farrukhi
- Publication : Ameena Saiyid, Oxford University (1999)
- Edition : 1999
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.