ek nazm
āñkheñ andhe kueñ kī mānind duur añdhere rastoñ par paanī ko khurach raheñ haiñ
gahrī dhuñd kī chādar oḌhe kaun abhāgan
phuuT phuuT ke ro bhī na paa.ī
sabr kī roTī chup kā sālan sab zā.iqoñ se kaḌvā zahr gale ke andar
kund chhurī kī mānind aTke
kyā bole saare lafz apne lahū kī gardish se be-parvāh
lab par utreñ
muāfī ke chhilkoñ ko utārūñgī rūheñ kuchh na kaheñgī
denā sab kuchh is ko
vāpas kuchh bhī na lenā
haath tumhāre sadā hī bhar raheñge jazboñ ke
phūloñ se
mat kuchh kahnā varna saarā malba tumhāre uupar aan giregā
kachchī dīvāroñ ke naate tasvīroñ ke rañgoñ se bhī kachche
hāthoñ vaar zabānoñ par guzrī bātoñ ke saare sukh ik ik kar ke miTte jaate haiñ
man kī saarī shaktī biich samundar Duub ga.ī hai
havā meñ aañsū gas ke gole chhūTeñ to sab ronā ek hī vaqt meñ roleñ
tyaag kā lambā rasta bā nahīñ phailā.e apnī or bulātā hai
aage jaao sab kuchh suno
aao is āvāz ke raste par chalte jaa.eñ
dīvār duur se duur
aankhen andhe kuen ki manind dur andhere raston par pani ko khurach rahen hain
gahri dhund ki chadar oDhe kaun abhagan
phuT phuT ke ro bhi na pai
sabr ki roTi chup ka salan sab zaiqon se kaDwa zahr gale ke andar
kund chhuri ki manind aTke
kya bole sare lafz apne lahu ki gardish se be-parwah
lab par utren
muafi ke chhilkon ko utarungi ruhen kuchh na kahengi
dena sab kuchh is ko
wapas kuchh bhi na lena
hath tumhaare sada hi bhar rahenge jazbon ke
phulon se
mat kuchh kahna warna sara malba tumhaare upar aan girega
kachchi diwaron ke nate taswiron ke rangon se bhi kachche
hathon war zabanon par guzri baaton ke sare sukh ek ek kar ke miTte jate hain
man ki sari shakti bich samundar Dub gai hai
hawa mein aansu gas ke gole chhuTen to sab rona ek hi waqt mein rolen
tyag ka lamba rasta ba nahin phailae apni or bulata hai
aage jao sab kuchh suno
aao is aawaz ke raste par chalte jaen
diwar dur se dur
- Book : meyaar (Pg. 152)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.