ek nazm subh ke intizar mein
kaT ga.ī raat
magar
raat abhī baaqī hai
hasrat-e-dīd abhī zinda hai
dil dhaḌaktā hai abhī
shauq-e-mulāqāt abhī zinda hai
dil ke sahrā-e-vafā meñ hai ġhazāloñ kā hujūm
aur us chāñd ke pyāle se chhalaktī hai mirī pyaas abhī
zindagī aa.ī nahīñ raas abhī
sub.h se pahlī mulāqāt abhī baaqī hai
kaT ga.ī raat
magar
raat abhī baaqī hai
kaT gai raat
magar
raat abhi baqi hai
hasrat-e-did abhi zinda hai
dil dhaDakta hai abhi
shauq-e-mulaqat abhi zinda hai
dil ke sahra-e-wafa mein hai ghazalon ka hujum
aur us chand ke pyale se chhalakti hai meri pyas abhi
zindagi aai nahin ras abhi
subh se pahli mulaqat abhi baqi hai
kaT gai raat
magar
raat abhi baqi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.