ek nazm
ye kaun aa rahā hai
nigāhoñ meñ vahshat kā sahrā liye
aur sar par uThā.e hue
ġham-e-roz-o-shab kī siyāhī kā jangal
ye chehra hai yā ki guzarte hue
vaqt kā ek ujaaḌ aur bayābān tanhā jazīra
ye lab haiñ ki banjar zamīnoñ ke patthar
jahāñ par koī lafz ugtā nahīñ
ye āñkheñ haiñ yā koī andhā kuaañ hai
ki jis meñ koī ḳhvāb kā qāfila Duub kar mar gayā hai
ye dast-e-girāñ hai ki barg-e-ḳhizāñ-dīda
sūkhī huī zard shāḳhoñ pe laTke hue
ye Tāñgeñ haiñ yā murda sāras
jinheñ bhūke pyāse ḳhatarnāk vahshī darinde
musalsal ghasīTe chale jā rahe haiñ
ye kaun aa raha hai
nigahon mein wahshat ka sahra liye
aur sar par uThae hue
gham-e-roz-o-shab ki siyahi ka jangal
ye chehra hai ya ki guzarte hue
waqt ka ek ujaD aur bayaban tanha jazira
ye lab hain ki banjar zaminon ke patthar
jahan par koi lafz ugta nahin
ye aankhen hain ya koi andha kuan hai
ki jis mein koi KHwab ka qafila Dub kar mar gaya hai
ye dast-e-giran hai ki barg-e-KHizan-dida
sukhi hui zard shaKHon pe laTke hue
ye Tangen hain ya murda saras
jinhen bhuke pyase KHatarnak wahshi darinde
musalsal ghasiTe chale ja rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.