ek pauda aur ghas
ittifāqan ek paudā aur ghaas
baaġh meñ donoñ khaḌe haiñ paas paas
ghaas kahtī hai ki ai mere rafīq
kyā anokhā is jahāñ kā hai tarīq
hai hamārī aur tumhārī ek zaat
ek qudarat se hai donoñ kī hayāt
miTTī aur paanī havā aur raushnī
vāste donoñ ke yaksāñ hai banī
tujh pe lekin hai ināyat kī nazar
pheñk dete haiñ mujhe jaḌ khod kar
sar uThāne kī mujhe fursat nahīñ
aur havā khāne kī bhī ruḳhsat nahīñ
kaun detā hai mujhe yaañ phailne
khā liyā ghoḌe gad.he yā bail ne
tujh pe muñh Daale jo koī jānvar
us kī lī jaatī hai DanDe se ḳhabar
ole paale se bachāte haiñ tujhe
kyā hī izzat se baḌhāte haiñ tujhe
chāhte haiñ tujh ko sab karte haiñ pyaar
kuchh patā us kā batā ai dost-dār
us se paude ne kahā yuuñ sar hilā
ghaas sab sachchā hai terā ye gila
mujh meñ aur tujh meñ nahīñ kuchh bhī tamīz
sirf saaya aur meva hai aziiz
fā.eda ik roz mujh se pā.eñge
saa.e meñ baiTheñge aur phal khā.eñge
hai yahāñ izzat kā sahrā us ke sar
jis se pahuñche naf.a sab ko besh-tar
ittifaqan ek pauda aur ghas
bagh mein donon khaDe hain pas pas
ghas kahti hai ki ai mere rafiq
kya anokha is jahan ka hai tariq
hai hamari aur tumhaari ek zat
ek qudarat se hai donon ki hayat
miTTi aur pani hawa aur raushni
waste donon ke yaksan hai bani
tujh pe lekin hai inayat ki nazar
phenk dete hain mujhe jaD khod kar
sar uThane ki mujhe fursat nahin
aur hawa khane ki bhi ruKHsat nahin
kaun deta hai mujhe yan phailne
kha liya ghoDe gadhe ya bail ne
tujh pe munh Dale jo koi jaanwar
us ki li jati hai DanDe se KHabar
ole pale se bachate hain tujhe
kya hi izzat se baDhate hain tujhe
chahte hain tujh ko sab karte hain pyar
kuchh pata us ka bata ai dost-dar
us se paude ne kaha yun sar hila
ghas sab sachcha hai tera ye gila
mujh mein aur tujh mein nahin kuchh bhi tamiz
sirf saya aur mewa hai aziz
faeda ek roz mujh se paenge
sae mein baiThenge aur phal khaenge
hai yahan izzat ka sahra us ke sar
jis se pahunche nafa sab ko besh-tar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.