ek pul banaya ja raha hai
maiñ un se pūchhtā huuñ:
pul kaise banāyā jaatā hai
pul banāne vaale kahte haiñ:
tum ne kabhī mohabbat nahīñ kī
maiñ kahtā huuñ: mohabbat kyā chiiz hai
vo apne auzār rakhte hue kahte haiñ:
mohabbat kā matlab jānñā chāhte ho
to pahle dariyā se milo...
rū-e-zamīn par dariyā se zyāda mohabbat karne vaalā koī nahīñ
dariyā apne samundar kī taraf bahtā rahtā hai
ye supurdagī hai
ye supurdagī bachpan hai aur bachpan bahisht...
lekin bahisht tak pahuñchne ke liye ek jahannam se guzarnā paḌtā hai
maiñ pūchhtā huuñ jahannam kyā hai?
vo kahte haiñ: is savāl kā javāb daraḳhtoñ ke paas hai
koī bhī mausam ho vo apnī jagah nahīñ chhoḌte
unheñ miTTī se mohabbat hai
unheñ parindoñ aur chiyūñTiyoñ se mohabbat hai
jo un ke jism meñ ghar banātī haiñ
'ghar kyā hai?' maiñ pūchhtā huuñ?
vo sab hañsne lagte haiñ
pahlā mazdūr kahtā hai:
apnī aurat kī taraf jaao
har savāl kā javāb mil jā.egā
main un se puchhta hun:
pul kaise banaya jata hai
pul banane wale kahte hain:
tum ne kabhi mohabbat nahin ki
main kahta hun: mohabbat kya chiz hai
wo apne auzar rakhte hue kahte hain:
mohabbat ka matlab jaanna chahte ho
to pahle dariya se milo
ru-e-zamin par dariya se zyaada mohabbat karne wala koi nahin
dariya apne samundar ki taraf bahta rahta hai
ye supurdagi hai
ye supurdagi bachpan hai aur bachpan bahisht
lekin bahisht tak pahunchne ke liye ek jahannam se guzarna paDta hai
main puchhta hun jahannam kya hai?
wo kahte hain: is sawal ka jawab daraKHton ke pas hai
koi bhi mausam ho wo apni jagah nahin chhoDte
unhen miTTi se mohabbat hai
unhen parindon aur chiyunTiyon se mohabbat hai
jo un ke jism mein ghar banati hain
'ghar kya hai?' main puchhta hun?
wo sab hansne lagte hain
pahla mazdur kahta hai:
apni aurat ki taraf jao
har sawal ka jawab mil jaega
- Book : AN EVENING OF CAGED BEASTS (Pg. 118)
- Author : Asif Farrukhi
- Publication : Ameena Saiyid, Oxford University (1999)
- Edition : 1999
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.