ek purana KHwab
bahut qadīm sā vo ghar,
bahut bahut qadīm saa....!
vo pattharoñ kā ghar koii,
usī ke ek tañg se kivāḌ meñ khaḌī huii,
vo kaun thii?
vo kaun thī jo ḳhvāb meñ aliil thī???
vo jis ke zard jism kā tumheñ bahut ḳhayāl thaa!
raqīb thī mirī?
magar bhalī bhalī lagī mujhe....!!
thī us ke zard rañg par ghanī udāsiyoñ kī rut,
pighal pighal ke gir rahā thā us kī āstīñ pe dukh....
mirī to ruuh ḳhauf se laraz ga.ii,
nigāh chīḳhne lagī,
kaun hai, ye kaun hai?''
usī ghaḌī,
tumhārī ik nigāh ne jhuke jhuke ye kah diyā,
ye aliil hai ki
use mirā zarā sā dhyān chāhiye,
ye jab bhī tandurust ho ga.ī maiñ lauT ā.ūñgā
ai zard-rū,
maiñ jāntī nahīñ tujhe
tū kaun thii, nahīñ patā
magar tirī hayāt kī duā mirī hayāt hai!!
tū tandurust ho ke kab dikhā.egī
bahut qadim sa wo ghar,
bahut bahut qadim sa!
wo pattharon ka ghar koi,
usi ke ek tang se kiwaD mein khaDi hui,
wo kaun thi?
wo kaun thi jo KHwab mein alil thi???
wo jis ke zard jism ka tumhein bahut KHayal tha!
raqib thi miri?
magar bhali bhali lagi mujhe!!
thi us ke zard rang par ghani udasiyon ki rut,
pighal pighal ke gir raha tha us ki aastin pe dukh
meri to ruh KHauf se laraz gai,
nigah chiKHne lagi,
kaun hai, ye kaun hai?
usi ghaDi,
tumhaari ek nigah ne jhuke jhuke ye kah diya,
ye alil hai ki
use mera zara sa dhyan chahiye,
ye jab bhi tandurust ho gai main lauT aaunga
ai zard-ru,
main jaanti nahin tujhe
tu kaun thi, nahin pata
magar teri hayat ki dua meri hayat hai!!
tu tandurust ho ke kab dikhaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.