ek purani kahani
kisī shahr meñ ik kafan-chor aayā
jo rātoñ ko qabroñ meñ sūrāḳh kar ke
tan-e-kushtagāñ se kafan khīñch letā
āḳhir-e-kār pakḌā gayā
aur us ko munāsib sazā ho ga.ī
kuchh hī din ba.ad ik dūsrā chor vārid huā
jo kafan bhī churātā
qabr ko bhī khulā chhoḌ detā
dūsrā chor bhī rukn-e-insāf ke paas laayā gayā
aur mehmān-e-zindāñ huā
phir yakāyak kisī tīsare chor kā ġhul machā
jo kafan bhī churātā
qabr ko bhī khulā chhoḌ detā
aur murda badan ko barahana kisī raah par Daal detā
shahr vaale jab use adālat meñ laa.e
to qaazī ne us kī sazā ko sunāte hue
faisla yuuñ likhā
''ḳhudāvand pahle kafan-chor ko apnī rahmat meñ rakhnā ki vo aadmī ḳhuub thā''
kisi shahr mein ek kafan-chor aaya
jo raaton ko qabron mein suraKH kar ke
tan-e-kushtagan se kafan khinch leta
aaKHir-e-kar pakDa gaya
aur us ko munasib saza ho gai
kuchh hi din baad ek dusra chor warid hua
jo kafan bhi churaata
qabr ko bhi khula chhoD deta
dusra chor bhi rukn-e-insaf ke pas laya gaya
aur mehman-e-zindan hua
phir yakayak kisi tisare chor ka ghul macha
jo kafan bhi churaata
qabr ko bhi khula chhoD deta
aur murda badan ko barahana kisi rah par Dal deta
shahr wale jab use adalat mein lae
to qazi ne us ki saza ko sunate hue
faisla yun likha
KHudawand pahle kafan-chor ko apni rahmat mein rakhna ki wo aadmi KHub tha
- Book : sham ka pahla tara (Pg. 67)
- Author : Zehra Nigah
- Edition : 1980
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.