ek qadim KHayali ki nigrani mein
zamāne kī mailī aañkh ne
mujhe dhundlā diyā
dūsroñ par gaḌhte gaḌhte
mujhe apnī tashvīsh huī
bahut dinoñ se bujhā paḌā thā
jab do dimāġhoñ kī ham-āhañgī ne
mujhe raushan aur ravāñ kar diyā
ma.an
maiñ ne ḳhud ko sāhil par machhlī kī aañkh se dekhā
uf! sab kuchh kitnā sat.hī hai!
sāhil Dūbne se pahle pahle
maiñ apne andar utar gayā
jahāñ maiñ pahle se maujūd thā
maiñ ne ḳhush-gavār hairat se ḳhud ko chhuā
kahīñ maiñ koī guzrī huī saa.at to nahīñ
ye jaan kar tasallī huī
ki ek qadīm ḳhayāl kī nigrānī meñ
maiñ kuchh aur gahrā aur chamkīlā ho gayā huuñ
aur ye bhī ki
ab maiñ apne aar paar bhī dekh saktā hūñ!!
zamane ki maili aankh ne
mujhe dhundla diya
dusron par gaDhte gaDhte
mujhe apni tashwish hui
bahut dinon se bujha paDa tha
jab do dimaghon ki ham-ahangi ne
mujhe raushan aur rawan kar diya
man
main ne KHud ko sahil par machhli ki aankh se dekha
uf! sab kuchh kitna sathi hai!
sahil Dubne se pahle pahle
main apne andar utar gaya
jahan main pahle se maujud tha
main ne KHush-gawar hairat se KHud ko chhua
kahin main koi guzri hui saat to nahin
ye jaan kar tasalli hui
ki ek qadim KHayal ki nigrani mein
main kuchh aur gahra aur chamkila ho gaya hun
aur ye bhi ki
ab main apne aar par bhi dekh sakta hun!!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.