ek raat ki kahani
baḌī suhānī sī raat thī vo
havā meñ an-jānī khoī khoī mahak rachī thī
bahār kī ḳhush-gavār hiddat se raat gulnār ho rahī thī
rupahle sapne se āsmāñ par sahāb ban kar bikhar ga.e the
aur aisī ik raat ek āñgan meñ koī laḌkī khaḌī huī thī
ḳhamosh tanhā
vo apnī nāzuk hasīn sochoñ ke shahr meñ kho ke rah ga.ī thī
dhanak ke sab rañg us kī āñkhoñ meñ bhar ga.e the
vo aisī hī raat thī ki rāhoñ meñ us kī motī bikhar ga.e the
hazār achhūte kuñvāre sapne
nazar meñ us kī chamak rahe the
sharīr sī raat us ko chupke se vo kahānī sunā rahī thī
ki aaj
vo apnī chūḌiyoñ kī khanak se sharmā.ī jā rahī thī
baDi suhani si raat thi wo
hawa mein an-jaani khoi khoi mahak rachi thi
bahaar ki KHush-gawar hiddat se raat gulnar ho rahi thi
rupahle sapne se aasman par sahab ban kar bikhar gae the
aur aisi ek raat ek aangan mein koi laDki khaDi hui thi
KHamosh tanha
wo apni nazuk hasin sochon ke shahr mein kho ke rah gai thi
dhanak ke sab rang us ki aankhon mein bhar gae the
wo aisi hi raat thi ki rahon mein us ki moti bikhar gae the
hazar achhute kunware sapne
nazar mein us ki chamak rahe the
sharir si raat us ko chupke se wo kahani suna rahi thi
ki aaj
wo apni chuDiyon ki khanak se sharmai ja rahi thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.